Friday, April 12, 2013

Random thoughts

tujhe pal bhar na laga door jane me,
ham yahan dooriyan mitate rah gaye...

Jab hona hi tha tujhe juda mujhse,
fir in yaadon ko kyun khula chhoda...

tujhe lagta hoga sukoon-o-chain hoga,
tujhe kya pata main kab soya kab jaga...

tune aah bhi na bhari aur kar diya alag,
hum sisak ke roye bhi to kya parwaah...

mere sapnon se banti bigadti hai teri dosti,
tujhe pata nahi ubra hi nahi pichale dard se...

mere aashiyane me saji hai teri hi tasveer,
kya to dekhoon deewar kya dekhoon aayna...

dil-o-dimag me basi hai tu kuch is tarah,
tujhe hi yaad kar hansta hun rota hun...

tu hai to nahi sath har waqt,
par bin tere bhi kuch nahi hai...

kaise karoon yakeen ki tu meri nahi hai,
tune bhi to mujhe ab tak nahi bhulaya...

main to maan loon ki teri hansi me khushi hai,
par tune hi to kaha tha mere ban sab jhooth hai...

kyun koi kisi ki parwaah karega,
par koi kisi ke dil me sada rahega...

maaf karna teri baat nahi maani,
tu bhi to rokne se nahi ruki...